Wednesday, December 28, 2011

Wednesday, July 27, 2011

My Urdu Ghazal - 2

Bandish-e-tehzib kya hai, ye na samjhe ga lahoo
Aankh jab dekhe gi manzir tarap uthega lahoo

Bujh gaye lagte hain lekin hain to ye aatish fishan
kya khabar kis zakham se kab phoot nikle ga lahoo

Band ho jainge jab izhar ke sab raste
zihan ki nazuk rago ko tor dale ga lahoo

.....to be continued

Tuesday, July 26, 2011

My Urdu Ghazal-1

Vo to suraj hai din bhar ka mehman hai
vo to aiga aa kar guzar jaiga,
Apani apani kandilon ko roshan karo
varna ghar main andhera pasar jaiga

Zakham gaihra sahi is ka gham na karo
youn hi ashkon se palkon ko nam na karo
waqt ka jab ki sada sa dastoor hai
zakham kitna bhi gehra ho bhar jaiga

Main jo kehta hun us ka gila na karo
mujh se itna ziada mila na karo
ye muhabbat ka darya ajab hai sanam
ziada barish pari to utar jaega

youn na baitho mere hamdamon bekhabar
bahut munh zor hai hadson ki lahar
na kia waqt par koi chara agar
pani sab ke saron se guzar jaiga

Ek manzil ka pana hi maksad nahin
chalte rehne ka kuchh aur bhi hai sabab
ham ko manzil agar na mile na sahi
kam az kam rasta to sanwar jaiga

aise "betab" din bhar na ghuma karo
har kali har shigufa na chuma karo
koi bosa labon pe thehar jaiga
koi sadma zihan main utar jaiga